About Me

My photo
My name is zahid,people known me as PakArt UrduLover

21 Apr 2011

Sura Nissa



" Surat An-Nisa "

1 - O Mankind ! Fear Your Guardian Lord, Who Created You From A Single Person Created Out Of It, His Mate And From Them Twain Scattered(Like Seed) Countless Men And Women, Fear Allah Through Whom Ye Demand Your Mutual (Rights) , And Be Heedful Of The Wombs(That Bore You): For Allah Ever Watch Over You.

1 - Aaye Logo ! Apne Parwardigar Se Daro, Jisne Tumhe Ek Jaan Se Paida Kiya, Aur Issi Se Iski Biwi Ko Paida Karke Inn Dono Se Bohut Se Mard Aur Auratein Phaila Dein, Uss Allah Se Daro Jiske Naam Par Ek Doosre Se Maangte Ho, Aur Rishte Naate Todne Se Bhi Bacho, Beshakk Allah Talah Tum Par Nigehban Hai.

79 - What Ever Good (O Man) Happens To Thee, Is From Allah, But What Ever Evil Happens To Thee, Is From Thyself And We Have Sent Thee As A Messenger To ( Instruct ) Mankind And Enough Is Allah For Witness.

79 - Tujhe Jo Bhalayi Milti Hai Woh Allah Talah Ki Taraf Se Hai Aur Jo Burayi Pohenchi Hai, Woh Tere Apne Nafs Ki Taraf Se Hai Hum Ne Tujhe Tamaam Logoun Ko Phaigam Pohenchane Wala Banakar Bheja Hai Aur Allah Talah Gawah Kafi Hai.

103 - When You Have Performed The Prayers, Remember Allah Standing, Sitting Down, Or Lying Down On Your Side, But When You Are Free From Danger, Set Up Regular Prayers, For Such Prayers Are Enjoined On Believers At Stated Times.
103 - Phir Jab Tum Namaz Adaa Kar Chuke Toh Uthte Baithte Aur Laite Allah Talah Ka Zikr Karte Raho Aur Jab Itmenaan Paao Toh Namaz Qayam Karo, Yaqeenan Namaz Mominoun Par Muqrarah Waqtoun Par Farz Hai,

138 - To The Hypocrites Give The Good Tidings That There Is For Them A Grievous Chastisement,
138 - Munafiqoun Ko Iss Amar Ki Khabar Pohencha Do Ke Inkeliye Dardnak Azab Yaqeeni Hai.


Nisa Ke Maiyane Hain " Aurat "
is Surat Me Auratoun Ke Bohut Se Ahem Masayel Ka Tazkerah Hai
Issliye Isse Surah NISA Kaha Jata Hai..

"Ek Jaan Se Paida Kiya Gaya Matlab"

Ek Jaan Se Murad Abu Albashar
Hazrat Adam Alaihe Salam Hain
Jaan Yani Adam Alaihe Salam Murad Hain, Yani Adam Alaihe Salam Se Unki Zouj (Biwi) Hazrat Hawa Ko Paida Kiya.
Hazrat Ibn Abbas RA Se Qoul Marwi Hai Ke
Hazrat Hawa MARD Yani(Adam Alaihe Salam) Se Paida Huein Yani Inki Bayein Phasli(Left Rib) Se
(Sahi Bukhari, Sahi Muslim)

Aurat Phasli Se Paida Ki Gayi Hai
Aur Phasli Me Sabse Tedha Hissa
Upari Hissa Hai, Agar Tu Usse Seedha Karna Chahe Toh Tod Baithega Aur Agar Tu Uss Se Faiyeda Uthana Chahe Toh Narmi Ke Sath Hi Faiyeda Utha Sakta Hai.....
Quran ke Alfaz Se Isi Mouqoof Ki Tayed Hoti Hai..
Hazrat Hawa Ki Taqleeq Ussi Nafs Wahed Se Hui Hai Jise Adam Kaha Jata Hai...
Rishte Natoun Ko Todne Se Bacho....
Rishte Natoun Ko Todna Saqt Kabeerah Gunah Hai....

Yani Bhalayi Aur Burayi Dono Allah Hi Ki Taraf Se Hain..Laikin yeh Log Qillat Fahem Wo Ilm Aur Kasrat Jahl Wo Zulm Ki Wajhe Se Iss Baat Ko Samajh Nahi Paate...
Hadees ... Nabi Kareem Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Farmaya :
Jannat Me Jo Bhi Jayega Mahez Allah Ki Rehmath Se Jayega
(Apne Amal Ki Wajhe Se Nahi) Sahabah Ne Arz Kiya Ya Rasool Allah :
Aap Bhi Allah Ki Rehmath Ke Baghair Jannat Me Nahi Jayenge ?
AAP Sallalahu Alaihe Wassalam Ne Farmaya ....
Haan Jab Tak Allah Mujhe Bhi Apne Daman e Rehmath Me Nahi Dhaank Lega Jannat Me Nahi Jaounga
(SahiMuslim)

Burai Bhi Kisi Gunah Ka Badla Hoti Hai..isiliye farmaya Ke Tumhari Galtiyoun, Kotahiyoun, Aur Gunahoun Ka Natija Hai..
Tumhe Jo Musibat Pohenchi Hai Woh Tumhare Apne Amaloun Ka Natija Hai Aur Bohut Se Gunah Maaf Hi Farma Deta Hai.....

Issme Namaz Ko Muqararah Waqt Me Padhne Ki Takeed Hai.... Jis Se Maloom Hota Hai Ke Baghair Sharaiye Uzar Ke Do Namazoun Ko Jama Karna Sahi Nahi Hai... Kyunki Iss Tarah Kamm Az Kamm Ek Namaz Ghair Waqt Me Padhi Jayegi Jo Iss Aayat Ke Qilaaf Hai.....

Aaye Allah Mujh Se Likhne Me Zarra Bhi Koi Galti Hui Hai Toh Aaye Mere Moula Mein Tujhse Maafi Ki Talabgaar Hoon, Tu Gafoorur Raheem Hai, Tu Reham Karne Wala Hai, Tu Karam Karne Wala Hai, Moula Tu Maaf Bhi Karne Wala Hai..Ameeen





Urdu Designed Poetry

شاعر۔بشیر بدر سر سے پا تک وہ گلابوں کا شجر لگتا ہے

https://groups.google.com/forum/?hl=en-GB#!forum/designe-poetry https://groups.google.com/forum/?hl=en-GB&fbclid=IwAR3uaBk8VFqFNt...

UrduLover